utth gaya aik aur janaza aaj sayda ki gher sai
shahadaton ka taluq hai gehra syeda ki gher sai
hasnain pay yateemi ajj kiyon hai chagai
kiyon zainab key nohay buland huay aaj syeda ki gher sai
musalmano nai ajj phir huqq mowaddat adda kerdia
guzar gai hai ajj aik aur qayamat syeda ki gher sai
jalatay hain kabhi daar kabhi khon baha daitay hain
kiyon adawat hai ummat ko itni syeda ki gher sai
nabowat o imamat ki goher nazer attay hai yaheen
ismat o taharat jhlakti hai syeda ki gher sai
zameen per basai thee aik behshat haider o batool nai
ajj maqtal kaa kiyon guzerta hai gumaan syeda ki gher sai
jibraiel o fizza ki maqam hi daiklay
dono nai pai hai maratib syeda ki gher sai
khuda kaa gher hai mana sajdaga bhi hai
kabay ko laiken nisbat hi kiya syeda ki gher sai
noor ki is gher ko tarikiyon nai kiyon ghair liyea
kiyon horahi hai ahh o buka syeda ki gher sai
tatheer kaa mazher malaik kaa kaba firdos bareen hai
per khon shaeedan ki bhi dekhtee hai jhalak syeda ki gher sai
jis gher ko kerti thee risalat jhok ker salam
aag kay bhi uthtay hain sholay issi syeda ki gher sai
zameen roti hai assman rota hai dewar o daar noha kuna hain
hasnain lai chalay Ali ki maiyaat syeda ki gher sai
roz mahsher khuda pukaray gaa Ali ki qasam
behshat uski hai jiski hai nisbat syeda ki gher sai